Monday, June 18, 2012

Kuch ajeeb hai ye zindagi...


Kuch ajeeb hai ye zindagi
Kuch ajeeb hai iski baatein
Kahi hai khushnuma si hawaayein
Kahi hai gehri andhero si raatein

Kahi koi baarish ki rimjhim se khush ho raha
Kahi kisaan iss barsaat me jallosh mana raha
Kahi koi door unhi boondon me aansu chipa raha
Kitne asaani se gam ghul jaate hai boondon me soch raha

Kahi koi suraj ki kirano ko naman kar raha
Shraddha se dhanyawad bolkar apne haath jod raha
Kahi koi door registan ki jalti dhoop me tadap raha
Kab sham le aayegi rahat itni garmi ko hara kar ye soch raha

Kahi koi baccha jaanleva thandi mein thithoor raha
Kahi ghar nahi hai uska, apne aap me hi who simat raha
Kahi koi door apne ghar mein baith thoda jashn mana raha
Sardi ki sham ka anand sab ke saath apne andaaz me utha raha

Kahi koi sipaahi jaan lagakar sarhad par lad raha
Apne matrubhumi ki suraksha pure atma bhaan se kar raha
Kahi koi kisaan usi sima par sone sa dhaanya uga raha
Annadata ko pranam kar apna kartavya nishta se kar raha

Kahi koi navjaat shishu apni aakhen khol raha
Apni nayi duniya me pehli saansein dheere se le raha
Kahi koi anjaan ab kabhi naa uthne ke liye aaj so raha
Usse kya pata wo dusre jahan me jaane ke liye tayaar ho raha

Kahi ek beta apni maa se milne uske gao jaa raha
Bahut se taufe aur dher saara pyaar bhi saath lekar jaa raha
Kahi ek beta apne beemar budhi maa ki seva kar raha
Aaj ki shyam dhalte dekhegi ya nahi maa yun woh ghabra raha

Kahi ek naujavan kai saalon ke baad ghar laut raha
Bade bade desho me naam roshan kar ke  swades laut raha
Kahi ek pita ganga mein nahane ke baad khud makan laut raha
Apghat me gujre bĂȘte-bahu ki asthiyan bahane ke baad ghar laut raha

Kahi koi apni aane wali maut se jhoojh raha
Thode aur pal apne pyar se milne ke liye maang raha
Kahi koi akela vruddh karkrog me asahay sa tadap raha
Le chal mujhe itni taklif se door aisi maut se prarthna kar raha

Kuch ajeeb hai ye zindagi
Kuch ajeeb hai iski baatein
Kahi hai khushnuma si hawaayein
Kahi hai gehri andhero si raatein